jaan qurban kaun karta hai
jaan qurbān kaun kartā hai
apnā nuqsān kaun kartā hai
sab tirī zulf ke hisār meñ haiñ
par ye elaan kaun kartā hai
terī qurbat kise aziiz nahīñ
dil ko vīrān kaun kartā hai
log to mushkiloñ meñ Dālte haiñ
mushkil āsān kaun kartā hai
tum taġhāful agar nahīñ karte
to mirī jaan kaun kartā hai
but-parastī to ham bhī karte haiñ
tark īmān kaun kartā hai
apnī apnī zarūrateñ haiñ 'qais'
varna ehsān kaun kartā hai
jaan qurban kaun karta hai
apna nuqsan kaun karta hai
sab teri zulf ke hisar mein hain
par ye elan kaun karta hai
teri qurbat kise aziz nahin
dil ko viran kaun karta hai
log to mushkilon mein Dalte hain
mushkil aasan kaun karta hai
tum taghaful agar nahin karte
to meri jaan kaun karta hai
but-parasti to hum bhi karte hain
tark iman kaun karta hai
apni apni zaruraten hain 'qais'
warna ehsan kaun karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.