jaan se apni guzarta kaun hai
jaan se apnī guzartā kaun hai
sab kahā karte haiñ kartā kaun hai
hai sabhī ko bāġh-e-jannat kī havas
ātish-e-dozaḳh se Dartā kaun hai
dil ke vīrāne meñ mere shaam se
roz ye sajtā sañvartā kaun hai
nīlgūñ jhīleñ haiñ yā āñkheñ tirī
Duub kar in meñ ubhartā kaun hai
kuchh hasīñ chehre nazar aa.e to haiñ
dekhiye dil meñ utartā kaun hai
ḳhaak meñ ik roz mil jaate haiñ sab
ḳhushbueñ ban kar bikhartā kaun hai
jaan se apni guzarta kaun hai
sab kaha karte hain karta kaun hai
hai sabhi ko bagh-e-jannat ki hawas
aatish-e-dozaKH se Darta kaun hai
dil ke virane mein mere sham se
roz ye sajta sanwarta kaun hai
nilgun jhilen hain ya aankhen teri
Dub kar in mein ubharta kaun hai
kuchh hasin chehre nazar aae to hain
dekhiye dil mein utarta kaun hai
KHak mein ek roz mil jate hain sab
KHushbuen ban kar bikharta kaun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.