jaana hai aaj aana hai kal kuchh to bol ja
jaanā hai aaj aanā hai kal kuchh to bol jā
ai mere mas.ale mire hal kuchh to bol jā
ye siina merā suntā hai siine kī guftugū
tū ḳhāmushī se aaj na Tal kuchh to bol jā
vo āñkheñ merī āñkhoñ meñ kahtī thiiñ Duub kar
ab bol bol ab na sañbhal kuchh to bol jā
ik saañs chīḳhtī thī maiñ chup aa rahā thā jab
sūraj-mukhī gulāb kañval kuchh to bol jā
tū qāfiyoñ kī devī hai matrūk bahr meñ
mujh par ġhazal nahīñ to hazal kuchh to bol jā
jaana hai aaj aana hai kal kuchh to bol ja
ai mere masale mere hal kuchh to bol ja
ye sina mera sunta hai sine ki guftugu
tu KHamushi se aaj na Tal kuchh to bol ja
wo aankhen meri aankhon mein kahti thin Dub kar
ab bol bol ab na sanbhal kuchh to bol ja
ek sans chiKHti thi main chup aa raha tha jab
suraj-mukhi gulab kanwal kuchh to bol ja
tu qafiyon ki dewi hai matruk bahr mein
mujh par ghazal nahin to hazal kuchh to bol ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.