jaana tha jo nasib mein saman to gaya
jaana tha jo nasib mein saman to gaya
Rahi Hameedi Chand Puri
MORE BYRahi Hameedi Chand Puri
jaanā thā jo nasīb meñ sāmān to gayā
lekin amīr-e-shahr kā ehsān to gayā
samjhegā kaun barg-o-shajar kī navā-e-shauq
is dahr-e-be-sabāt se luqmān to gayā
hai aaj ghar meñ phir se tahī-dāmanī kā saath
kal tak jo thā muqīm vo mehmān to gayā
qā.em-kunāñ raho kī karo nauha-ḳhvāniyāñ
gulshan se ḳhār-o-gul kā nigahbān to gayā
baaqī hai sirf ahd-e-guzishta kī bāzgasht
yaaro anā-parast musalmān to gayā
ab tak 'inān-e-shāh-jahānī kā zo'm hai
kab kā 'inān-e-shāhī kā sāmān to gayā
dil mutma.in hai sub.h-e-muqaddas ke nuur se
kal raat jo uThā thā vo tūfān to gayā
faujeñ kareñgī ḳhud hī muqaddar kā faisla
talvār apnī pheñk ke sultān to gayā
jaana tha jo nasib mein saman to gaya
lekin amir-e-shahr ka ehsan to gaya
samjhega kaun barg-o-shajar ki nawa-e-shauq
is dahr-e-be-sabaat se luqman to gaya
hai aaj ghar mein phir se tahi-damani ka sath
kal tak jo tha muqim wo mehman to gaya
qaem-kunan raho ki karo nauha-KHwaniyan
gulshan se KHar-o-gul ka nigahban to gaya
baqi hai sirf ahd-e-guzishta ki bazgasht
yaro ana-parast musalman to gaya
ab tak 'inan-e-shah-jahani ka zo'm hai
kab ka 'inan-e-shahi ka saman to gaya
dil mutmain hai subh-e-muqaddas ke nur se
kal raat jo uTha tha wo tufan to gaya
faujen karengi KHud hi muqaddar ka faisla
talwar apni phenk ke sultan to gaya
- Book : سائبان غزل (Pg. 50)
- Author : راہی حمیدی
- Publication : انجمن درس ادب،چاندپور (2011)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.