jaana to bahut dur hai mahtab se aage
jaanā to bahut duur hai mahtāb se aage
baḌhte hī nahīñ paañv tire ḳhvāb se aage
kuchh aur hasīñ moḌ the rūdād-e-safar meñ
likkhā na magar kuchh bhī tire baab se aage
tahzīb kī zanjīr se uljhā rahā maiñ bhī
tū bhī na baḌhā jism ke ādāb se aage
motī ke ḳhazāne bhī tah-e-āb chhupe the
niklā na koī ḳhatra-e-girdāb se aage
dekho to kabhī dasht bhī ābād hai kaisā
niklo to zarā ḳhitta-e-shādāb se aage
bichhḌā to nahīñ koī tumhārā bhī safar meñ
kyuuñ bhāge chale jaate ho betāb se aage
duniyā kā chalan dekh ke lagtā to yahī hai
ab kuchh bhī nahīñ ālam-e-asbāb se aage
jaana to bahut dur hai mahtab se aage
baDhte hi nahin panw tere KHwab se aage
kuchh aur hasin moD the rudad-e-safar mein
likkha na magar kuchh bhi tere bab se aage
tahzib ki zanjir se uljha raha main bhi
tu bhi na baDha jism ke aadab se aage
moti ke KHazane bhi tah-e-ab chhupe the
nikla na koi KHatra-e-girdab se aage
dekho to kabhi dasht bhi aabaad hai kaisa
niklo to zara KHitta-e-shadab se aage
bichhDa to nahin koi tumhaara bhi safar mein
kyun bhage chale jate ho betab se aage
duniya ka chalan dekh ke lagta to yahi hai
ab kuchh bhi nahin aalam-e-asbab se aage
- Book : Sarsabz (Pg. 39)
- Author : Krishan Kumar Toor
- Publication : Sarsabz Dharamshala (April to September 2013)
- Edition : April to September 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.