jaanan pe ji nisar hua kya baja hua
jānāñ pe jī nisār huā kyā bajā huā
us raah meñ ġhubār huā kyā bajā huā
muddat se rāz-e-ishq mire pe ayaañ na thā
ye bhed āshkār huā kyā bajā huā
taaze khile haiñ daaġh ke gul dil ke baaġh meñ
phir mausam-e-bahār huā kyā bajā huā
dil tujh parī kī aag meñ sīmāb kī misāl
āḳhir kuuñ be-qarār huā kyā bajā huā
kishvar meñ dil ke thā amal-e-sūbādār-e-aish
ab ġham kā iḳhtiyār huā kyā bajā huā
āhū-e-dil ki vahshi-e-sahrā-e-aql thā
tujh zulf kā shikār huā kyā bajā huā
vo āftāb aaj mire qatl par 'sirāj'
shab-dez par savār huā kyā bajā huā
jaanan pe ji nisar hua kya baja hua
us rah mein ghubar hua kya baja hua
muddat se raaz-e-ishq mere pe ayan na tha
ye bhed aashkar hua kya baja hua
taze khile hain dagh ke gul dil ke bagh mein
phir mausam-e-bahaar hua kya baja hua
dil tujh pari ki aag mein simab ki misal
aaKHir kun be-qarar hua kya baja hua
kishwar mein dil ke tha amal-e-subaadar-e-aish
ab gham ka iKHtiyar hua kya baja hua
aahu-e-dil ki wahshi-e-sahra-e-aql tha
tujh zulf ka shikar hua kya baja hua
wo aaftab aaj mere qatl par 'siraj'
shab-dez par sawar hua kya baja hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.