jaanan tumhaare nam ki jab humne pi sharab
jānāñ tumhāre naam kī jab ham ne pī sharāb
tab jā ke ek shab kahīñ ham par khulī sharāb
ik shaḳhs yaad aayā hameñ dekh kar ke jaam
ik shaḳhs ke bahāne dinoñ baa'd pī sharāb
is mai-kade ke baa'd faqat dasht hai ai dost
aa baiTh saath piite haiñ ik āḳhirī sharāb
terā ḳhudā-e-pāk to be-zauq hai miyāñ
merā ḳhudā to kahtā hai aa baiTh pī sharāb
ye kaun kah rahā thā ki duniyā badal ga.ī
maiñ bhī vahī huuñ tum bhī vahī aur vahī sharāb
jaanan tumhaare nam ki jab hum ne pi sharab
tab ja ke ek shab kahin hum par khuli sharab
ek shaKHs yaad aaya hamein dekh kar ke jam
ek shaKHs ke bahane dinon ba'd pi sharab
is mai-kade ke ba'd faqat dasht hai ai dost
aa baiTh sath pite hain ek aaKHiri sharab
tera KHuda-e-pak to be-zauq hai miyan
mera KHuda to kahta hai aa baiTh pi sharab
ye kaun kah raha tha ki duniya badal gai
main bhi wahi hun tum bhi wahi aur wahi sharab
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 110)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.