jaanch-parakh kar dekh chuki tu har munh-bole bhai ko
jāñch-parakh kar dekh chukī tū har muñh-bole bhaa.ī ko
kahne de ab koī sachchī baat 'qatīl-shifā.ī' ko
kar diyā bilkul apne jaisā mujh ko andhe cupid ne
apnī shohrat jaan rahā huuñ maiñ apnī rusvā.ī ko
shohrat chāhe kaisī bhī ho log tavajjoh dete haiñ
laakh hasīñ milte haiñ ab tak mujh jaise harjā.ī ko
ghabrā.ī kyuuñ baiThī hai ab ġham-ḳhvāroñ ke narġhe meñ
le aa.ī hai mahfil meñ jab tū apnī tanhā.ī ko
sab ko sunā.e qisse tū ne jis kī dhoke-bāzī ke
us jaisā hī pā.egī tū apne har shaidā.ī ko
sab se hans kar milne vaalī kis ne tujh ko samjhā hai
naap rahe haiñ muft meñ log samundar kī gahrā.ī ko
pāgal-pan to dekho jis din Dolī uThne vaalī thī
apne haath se toḌ diyā ik dulhan ne shahnā.ī ko
kyuuñ auroñ ke naam se chhapvātā hai apne sher 'qatīl'
yuuñ barbād kiyā nahīñ karte apnī nek kamā.ī ko
jaanch-parakh kar dekh chuki tu har munh-bole bhai ko
kahne de ab koi sachchi baat 'qatil-shifai' ko
kar diya bilkul apne jaisa mujh ko andhe cupid ne
apni shohrat jaan raha hun main apni ruswai ko
shohrat chahe kaisi bhi ho log tawajjoh dete hain
lakh hasin milte hain ab tak mujh jaise harjai ko
ghabrai kyun baiThi hai ab gham-KHwaron ke narghe mein
le aai hai mahfil mein jab tu apni tanhai ko
sab ko sunae qisse tu ne jis ki dhoke-bazi ke
us jaisa hi paegi tu apne har shaidai ko
sab se hans kar milne wali kis ne tujh ko samjha hai
nap rahe hain muft mein log samundar ki gahrai ko
pagal-pan to dekho jis din Doli uThne wali thi
apne hath se toD diya ek dulhan ne shahnai ko
kyun auron ke nam se chhapwata hai apne sher 'qatil'
yun barbaad kiya nahin karte apni nek kamai ko
- Book : Kalam Qateel Shifai (Pg. 130)
- Author : Qateel Shifai
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.