jaane aazad wo din phir kabhi aae ki nahin
jaane 'āzād' vo din phir kabhī aa.e ki nahīñ
vo hameñ itnī mohabbat se bulā.e ki nahīñ
phir maiñ dīvāna banūñ vo mirā dāman thāme
yaad terī mire yuuñ naaz uThā.e ki nahīñ
phir havā taaza na kar de mere bhūle hue ġham
mujh ko palkoñ pe tirī yaad biThā.e ki nahīñ
bārhā gardish-e-daurāñ meñ ulajh kar vo bhī
sochtā hai ki mujhe dil se bhulā.e ki nahīñ
yaad kar ishq ke vo daur ki tū ne maiñ ne
dil jalā.e ki nahīñ ḳhvāb luTā.e ki nahīñ
ab ki itvār bhī 'āzād' na vīrāñ guzre
tez bārish hai ḳhudā jaane vo aa.e ki nahīñ
jaane 'azad' wo din phir kabhi aae ki nahin
wo hamein itni mohabbat se bulae ki nahin
phir main diwana banun wo mera daman thame
yaad teri mere yun naz uThae ki nahin
phir hawa taza na kar de mere bhule hue gham
mujh ko palkon pe teri yaad biThae ki nahin
barha gardish-e-dauran mein ulajh kar wo bhi
sochta hai ki mujhe dil se bhulae ki nahin
yaad kar ishq ke wo daur ki tu ne main ne
dil jalae ki nahin KHwab luTae ki nahin
ab ki itwar bhi 'azad' na viran guzre
tez barish hai KHuda jaane wo aae ki nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.