jaane ab kho gaya kidhar pani
jaane ab kho gayā kidhar paanī
thā kabhī aañkh kā guhar paanī
maaro patthar bhī to nahīñ hiltā
jam chukā hai ab is qadar paanī
aane vaale haiñ kuchh hasīñ manzar
tū abhī aañkh meñ na bhar paanī
tab ġhazal kī galī pahuñchtā hai
aañkh se bah ke raat bhar paanī
na sameTā gayā na kaam aayā
maiñ bhī huuñ jaise ret par paanī
merī hastī 'sahar' hai bas itnī
jaise sahrā meñ buuñd bhar paanī
jaane ab kho gaya kidhar pani
tha kabhi aankh ka guhar pani
maro patthar bhi to nahin hilta
jam chuka hai ab is qadar pani
aane wale hain kuchh hasin manzar
tu abhi aankh mein na bhar pani
tab ghazal ki gali pahunchta hai
aankh se bah ke raat bhar pani
na sameTa gaya na kaam aaya
main bhi hun jaise ret par pani
meri hasti 'sahar' hai bas itni
jaise sahra mein bund bhar pani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.