jaane aisi Than kar baiTha hai kya mere liye
jaane aisī Thaan kar baiThā hai kyā mere liye
aaj māñge jā rahā hai vo du'ā mere liye
muztarib dil ko mire ārām aa hī jā.egā
kījiye tajvīz koī to davā mere liye
merī qismat meñ to likkhe haiñ ġhamoñ ke silsile
ḳhush rahā kar tū na apnā dil dukhā mere liye
husn kī tābāniyoñ ko maiñ bhī to dekhūñ zarā
tū ruḳh-e-zebā se ye parda haTā mere liye
bhuul jaatā huuñ sabhī kuchh yaad rahtā kuchh nahīñ
ban gayā hai ek ye bhī mas.ala mere liye
hijr aañsū mai-kashī ranj-o-alam āh-o-fuġhāñ
yā-ilāhī kyā yahī kuchh rah gayā mere liye
sang-dil mash.hūr thā jo shahr bhar meñ dosto
mujh ko hairat hai ki vo bhī ro paḌā mere liye
ye qayāmat ke mujhe āsār lagte haiñ miyāñ
chalte chalte vo achānak ruk gayā mere liye
tañgī-e-dāman se maiñ 'ejāz' ghabrāyā nahīñ
khol degā aur darvāze ḳhudā mere liye
aaj saaqī dekh kar 'ejāz' merī tishnagī
jām-o-sāġhar le ke ghar meñ aa gayā mere liye
jaane aisi Than kar baiTha hai kya mere liye
aaj mange ja raha hai wo du'a mere liye
muztarib dil ko mere aaram aa hi jaega
kijiye tajwiz koi to dawa mere liye
meri qismat mein to likkhe hain ghamon ke silsile
KHush raha kar tu na apna dil dukha mere liye
husn ki tabaniyon ko main bhi to dekhun zara
tu ruKH-e-zeba se ye parda haTa mere liye
bhul jata hun sabhi kuchh yaad rahta kuchh nahin
ban gaya hai ek ye bhi masala mere liye
hijr aansu mai-kashi ranj-o-alam aah-o-fughan
ya-ilahi kya yahi kuchh rah gaya mere liye
sang-dil mashhur tha jo shahr bhar mein dosto
mujh ko hairat hai ki wo bhi ro paDa mere liye
ye qayamat ke mujhe aasar lagte hain miyan
chalte chalte wo achanak ruk gaya mere liye
tangi-e-daman se main 'ejaz' ghabraya nahin
khol dega aur darwaze KHuda mere liye
aaj saqi dekh kar 'ejaz' meri tishnagi
jam-o-saghar le ke ghar mein aa gaya mere liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.