jaane do in naghmon ko aahang-e-shikast-e-saz na samjho
jaane do in naġhmoñ ko āhañg-e-shikast-e-sāz na samjho
dard-bharī āvāz to sun lo dard-bharī āvāz na samjho
jaao bahāro jaao jaao vīrānoñ ke paas na aao
ālam-e-shauq-e-āsūda ko hasrat kā ġhammāz na samjho
zaḳhm lagānā aatā hai in phūloñ se nāzuk logoñ ko bhī
behtar hai in phuul se nāzuk logoñ ke andāz na samjho
ḳhāmoshī ke sahrāoñ meñ bhaTke hue sañgīt na jaano
tār-e-nafas ke naġhme haiñ ye in ko mirī āvāz na samjho
jaane do in naghmon ko aahang-e-shikast-e-saz na samjho
dard-bhari aawaz to sun lo dard-bhari aawaz na samjho
jao bahaaro jao jao viranon ke pas na aao
aalam-e-shauq-e-asuda ko hasrat ka ghammaz na samjho
zaKHm lagana aata hai in phulon se nazuk logon ko bhi
behtar hai in phul se nazuk logon ke andaz na samjho
KHamoshi ke sahraon mein bhaTke hue sangit na jaano
tar-e-nafas ke naghme hain ye in ko meri aawaz na samjho
- Book : khvaab numaa (Pg. 47)
- Author : qamar jameel
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.