jaane hota hai kab kahan dekho
jaane hotā hai kab kahāñ dekho
vaqt ab ham pe mehrbāñ dekho
vo jo badlā to kyā ta.ajjub hai
rang badle hai āsmāñ dekho
ḳhaak uḌā kartī thī jahāñ pahle
phuul khilte haiñ ab vahāñ dekho
kyā kyā guzre haiñ nāmvar ab tak
in zamīnoñ se be-nishāñ dekho
saath ġham ke ḳhushī bhī shāmil hai
phuul kāñToñ ke darmiyāñ dekho
jaane hogā bhī yā nahīñ hogā
dil hamārā bhī shādmāñ dekho
is qadar zimmedāriyāñ 'anjum'
aur ye jism nā-tavāñ dekho
jaane hota hai kab kahan dekho
waqt ab hum pe mehrban dekho
wo jo badla to kya tajjub hai
rang badle hai aasman dekho
KHak uDa karti thi jahan pahle
phul khilte hain ab wahan dekho
kya kya guzre hain namwar ab tak
in zaminon se be-nishan dekho
sath gham ke KHushi bhi shamil hai
phul kanTon ke darmiyan dekho
jaane hoga bhi ya nahin hoga
dil hamara bhi shadman dekho
is qadar zimmedariyan 'anjum'
aur ye jism na-tawan dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.