jaane kab kaun bichhaD jae KHabar ho ki na ho
jaane kab kaun bichhaḌ jaa.e ḳhabar ho ki na ho
aage ik moḌ hai kāñdhoñ pe ye sar ho ki na ho
bazm-e-ḳhūbāñ meñ zarā der Thahar jā ai dil
aaj ke ba.ad udhar merā guzar ho ki na ho
dard-e-dil aaj kī shab had se guzar jaatā hai
phir koī chāra-gar-e-zaḳhm-e-jigar ho ki na ho
vaqt-e-ruḳhsat na yuuñ ashkoñ meñ guzāro hamdam
aao kuchh baat kareñ phir ye sahar ho ki na ho
āḳhirī baar unheñ bhar ke nazar dekh to leñ
zauq-e-nazzāra rahe phir ye nazar ho ki na ho
kah leñ kuchh hāl-e-dil-e-zār ġhanīmat hai 'shakeb'
phir ye ahbāb kī mahfil ye nazar ho ki na ho
jaane kab kaun bichhaD jae KHabar ho ki na ho
aage ek moD hai kandhon pe ye sar ho ki na ho
bazm-e-KHuban mein zara der Thahar ja ai dil
aaj ke baad udhar mera guzar ho ki na ho
dard-e-dil aaj ki shab had se guzar jata hai
phir koi chaara-gar-e-zaKHm-e-jigar ho ki na ho
waqt-e-ruKHsat na yun ashkon mein guzaro hamdam
aao kuchh baat karen phir ye sahar ho ki na ho
aaKHiri bar unhen bhar ke nazar dekh to len
zauq-e-nazzara rahe phir ye nazar ho ki na ho
kah len kuchh haal-e-dil-e-zar ghanimat hai 'shakeb'
phir ye ahbab ki mahfil ye nazar ho ki na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.