jaane kab tak qatar mein rahenge
jaane kab tak qatār meñ raheñge
ham tire intizār meñ raheñge
tum isī baaġh meñ rahoge sadā
ham isī ḳhārzār meñ raheñge
ham bichhaḌne ke ba.ad bhī shāyad
aap ke iḳhtiyār meñ raheñge
kitne manzar dikhā.ī deñge hameñ
aur kitne ġhubār meñ raheñge
haal tafsīl se batāte hue
koshish-e-iḳhtisār meñ raheñge
sher sattar hazār kah Daale
ek do to shumār meñ raheñge
ik tanāza khaḌā kareñge nayā
aur phir ishtihār meñ raheñge
jaane kab tak qatar mein rahenge
hum tere intizar mein rahenge
tum isi bagh mein rahoge sada
hum isi KHarzar mein rahenge
hum bichhaDne ke baad bhi shayad
aap ke iKHtiyar mein rahenge
kitne manzar dikhai denge hamein
aur kitne ghubar mein rahenge
haal tafsil se batate hue
koshish-e-iKHtisar mein rahenge
sher sattar hazar kah Dale
ek do to shumar mein rahenge
ek tanaza khaDa karenge naya
aur phir ishtihaar mein rahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.