jaane kahan kahan se milate hain tar log
jaane kahāñ kahāñ se milāte haiñ taar log
mujh ko bahut ḳharāb batāte haiñ yaar log
kyoñ dūsroñ pe tiir chalāte haiñ tanz ke
pūchhūñgā gar mile kahīñ mujh ko vo chaar log
cigarette charas afiim se le kar sharāb tak
sab pī rahe haiñ 'ishq meñ kuchh be-qarār log
kyā phir hamārī gardanoñ ko kaaTā jā.egā
chhuriyoñ pe rakh rahe haiñ bahut tez dhaar log
phir un ko dekhne ko nigāheñ taras ga.iiñ
paise jo ham se le ke ga.e the udhār log
jaane kahan kahan se milate hain tar log
mujh ko bahut KHarab batate hain yar log
kyon dusron pe tir chalate hain tanz ke
puchhunga gar mile kahin mujh ko wo chaar log
cigarette charas afim se le kar sharab tak
sab pi rahe hain 'ishq mein kuchh be-qarar log
kya phir hamari gardanon ko kaTa jaega
chhuriyon pe rakh rahe hain bahut tez dhaar log
phir un ko dekhne ko nigahen taras gain
paise jo hum se le ke gae the udhaar log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.