jaane kaisa sog manaya jata hai
jaane kaisā sog manāyā jaatā hai
kuchh qabroñ par diyā jalāyā jaatā hai
kuchh jismoñ kī lazzat puurī karne ko
kuchh jismoñ ko khīñch ke laayā jaatā hai
vo āñkheñ pinjre meñ hotī haiñ jin ko
āzādī kā ḳhvāb dikhāyā jaatā hai
vasl to pahlā raag hai sab gā lete haiñ
hijr kahāñ har ek se gaayā jaatā hai
kuchh nuqte alfāz kī zīnat hote haiñ
kuchh nuqtoñ se kaam chalāyā jaatā hai
mumkin hai ki rone kā kuchh vaqt mile
bārish kā imkān batāyā jaatā hai
jaane kaisa sog manaya jata hai
kuchh qabron par diya jalaya jata hai
kuchh jismon ki lazzat puri karne ko
kuchh jismon ko khinch ke laya jata hai
wo aankhen pinjre mein hoti hain jin ko
aazadi ka KHwab dikhaya jata hai
wasl to pahla rag hai sab ga lete hain
hijr kahan har ek se gaya jata hai
kuchh nuqte alfaz ki zinat hote hain
kuchh nuqton se kaam chalaya jata hai
mumkin hai ki rone ka kuchh waqt mile
barish ka imkan bataya jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.