Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaane kis chah ke kis pyar ke gun gate ho

Aitbar Sajid

jaane kis chah ke kis pyar ke gun gate ho

Aitbar Sajid

MORE BYAitbar Sajid

    jaane kis chaah ke kis pyaar ke gun gaate ho

    raat din kaun se dildār ke gun gaate ho

    ye to dekho ki tumheñ luuT liyā hai us ne

    ik tabassum pe ḳharīdār ke gun gaate ho

    apnī tanhā.ī pe nāzāñ ho mire sāda-mizāj

    apne suune dar o dīvār ke gun gaate ho

    apne zehn taḳhlīq pe itne sarshār

    apne afsānvī kirdār ke gun gaate ho

    aur logoñ ke bhī ghar hote haiñ ghar vaale bhī

    sirf apne dar o dīvār ke gun gaate ho

    jaane kis chah ke kis pyar ke gun gate ho

    raat din kaun se dildar ke gun gate ho

    ye to dekho ki tumhein luT liya hai us ne

    ek tabassum pe KHaridar ke gun gate ho

    apni tanhai pe nazan ho mere sada-mizaj

    apne sune dar o diwar ke gun gate ho

    apne hi zehn ki taKHliq pe itne sarshaar

    apne afsanwi kirdar ke gun gate ho

    aur logon ke bhi ghar hote hain ghar wale bhi

    sirf apne dar o diwar ke gun gate ho

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now