jaane kis daur ki saza hun main
jaane kis daur kī sazā huuñ maiñ
ibtidā huuñ ki intihā huuñ maiñ
apnī dhaḌkan se kar mujhe mahsūs
sirf sāñsoñ kā silsila huuñ maiñ
TūTnā hī mirā muqaddar hai
ḳhvāb huuñ yā ki aa.ina huuñ maiñ
mujh ko sun le qubūl bhī kar le
ek nannhī sī iltijā huuñ maiñ
zindagī se ajal ke dāman tak
chand lamhoñ kā fāsla huuñ maiñ
koī jhoñkā miTā na paayā jise
naam vo ret pe likhā huuñ maiñ
zindagī mujh se haar jā.egī
āzmā.ish kī intihā huuñ maiñ
mujh se qaa.em hai raunaq-e-hastī
ḳhud kī hastī se hī ḳhafā huuñ maiñ
ab jo soyā to so hī jā.ūñgā
umr bhar jāgtā rahā huuñ maiñ
jism kī qaid meñ rahā huuñ kabhī
aur kabhī jism se rihā huuñ maiñ
jaane kis daur ki saza hun main
ibtida hun ki intiha hun main
apni dhaDkan se kar mujhe mahsus
sirf sanson ka silsila hun main
TuTna hi mera muqaddar hai
KHwab hun ya ki aaina hun main
mujh ko sun le qubul bhi kar le
ek nannhi si iltija hun main
zindagi se ajal ke daman tak
chand lamhon ka fasla hun main
koi jhonka miTa na paya jise
nam wo ret pe likha hun main
zindagi mujh se haar jaegi
aazmaish ki intiha hun main
mujh se qaem hai raunaq-e-hasti
KHud ki hasti se hi KHafa hun main
ab jo soya to so hi jaunga
umr bhar jagta raha hun main
jism ki qaid mein raha hun kabhi
aur kabhi jism se riha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.