jaane kis kis ko kha gai miTTi
jaane kis kis ko khā ga.ī miTTī
ziist kyā hai batā ga.ī miTTī
jo jahāñ ko batā chuke apnā
un ko apnā banā ga.ī miTTī
jin kā duniyā meñ naam chaltā thā
un kī hastī miTā ga.ī miTTī
chaar kāñdhe pe jab gayā koī
niiñd meñ thā jagā ga.ī miTTī
paas sab kuchh thā ab nahīñ kuchh bhī
aa.ina jab dikhā ga.ī miTTī
'aam insān kī kahāñ gintī
āsmānoñ ko khā ga.ī miTTī
dost dushman sabhī ko ġham us kā
jis ko dūlhā banā ga.ī miTTī
jaane kis kis ko kha gai miTTi
zist kya hai bata gai miTTi
jo jahan ko bata chuke apna
un ko apna bana gai miTTi
jin ka duniya mein nam chalta tha
un ki hasti miTa gai miTTi
chaar kandhe pe jab gaya koi
nind mein tha jaga gai miTTi
pas sab kuchh tha ab nahin kuchh bhi
aaina jab dikha gai miTTi
'am insan ki kahan ginti
aasmanon ko kha gai miTTi
dost dushman sabhi ko gham us ka
jis ko dulha bana gai miTTi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.