jaane kis moD judai ki ghaDi aati hai
jaane kis moḌ judā.ī kī ghaḌī aatī hai
hijr kī bel muñDeroñ pe chaḌhī aatī hai
kyā ḳhabar dhuup kī aadat ko bigāḌā kis ne
bin-bulā.e mere āñgan meñ chalī aatī hai
hijr meñ vasl kī bābat nahīñ sochā karte
aisā karne se mohabbat meñ kamī aatī hai
jaane kyuuñ vasl kā mausam nahīñ aane detā
jaane kyā us ke ḳhazāne meñ kamī aatī hai
dard kā koī to rishta hai qalam se 'nomān'
kuchh bhī likhtā huuñ to āñkhoñ meñ namī aatī hai
jaane kis moD judai ki ghaDi aati hai
hijr ki bel munDeron pe chaDhi aati hai
kya KHabar dhup ki aadat ko bigaDa kis ne
bin-bulae mere aangan mein chali aati hai
hijr mein wasl ki babat nahin socha karte
aisa karne se mohabbat mein kami aati hai
jaane kyun wasl ka mausam nahin aane deta
jaane kya us ke KHazane mein kami aati hai
dard ka koi to rishta hai qalam se 'noman'
kuchh bhi likhta hun to aankhon mein nami aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.