jaane kis moD par maine dekha nahin
jaane kis moḌ par maiñ ne dekhā nahīñ
muḌ gayā ham-safar maiñ ne dekhā nahīñ
tum ko ma.alūm ho to batānā mujhe
rah ga.ī maiñ kidhar maiñ ne dekhā nahīñ
vaqt kī sīḌhiyāñ chaḌhte dekhā use
vo gayā phir kidhar maiñ ne dekhā nahīñ
le ke aayā thā mere liye raushnī
jab gayā chhoḌ kar maiñ ne dekhā nahīñ
mil hī jaatī kabhī koī manzil mujhe
ik qadam lauT kar maiñ ne dekhā nahīñ
tum ga.e saath us ke jidhar bhī kahīñ
tum samajhnā udhar maiñ ne dekhā nahīñ
pyaar hai kis qadar us ko mujh se 'shabī'
chūḌiyāñ toḌ kar maiñ ne dekhā nahīñ
jaane kis moD par main ne dekha nahin
muD gaya ham-safar main ne dekha nahin
tum ko malum ho to batana mujhe
rah gai main kidhar main ne dekha nahin
waqt ki siDhiyan chaDhte dekha use
wo gaya phir kidhar main ne dekha nahin
le ke aaya tha mere liye raushni
jab gaya chhoD kar main ne dekha nahin
mil hi jati kabhi koi manzil mujhe
ek qadam lauT kar main ne dekha nahin
tum gae sath us ke jidhar bhi kahin
tum samajhna udhar main ne dekha nahin
pyar hai kis qadar us ko mujh se 'shabi'
chuDiyan toD kar main ne dekha nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.