Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaane kitna jiwan pichhe chhuT gaya anjaane mein

Vishvanath Dard

jaane kitna jiwan pichhe chhuT gaya anjaane mein

Vishvanath Dard

MORE BYVishvanath Dard

    jaane kitnā jīvan pīchhe chhūT gayā anjāne meñ

    ab to kuchh qatre haiñ baaqī sāñsoñ ke paimāne meñ

    apnī pyaas liye hoñToñ par lauT aa.e maiḳhāne meñ

    kitne tishna-lab baiThe the pahle maiḳhāne meñ

    kyā kyā ruup liye rishtoñ ne kaise kaise rañg bhare

    ab to farq nahīñ kuchh lagtā apne aur begāne meñ

    jazboñ mismār imārat yādoñ ke be-jān khañDar

    jaane kyuuñ baiThe haiñ tanhā ham aise vīrāne meñ

    is bastī meñ aa kar ham ne kuchh aisā dastūr sunā

    aql bāteñ karne vaale hoñge pāgal-ḳhāne meñ

    itnā jaan liyā to yaaro kaisī bandish unvāñ

    apnā apnā rañg bharegā har koī afsāne meñ

    takmīl-o-taḳhlīq lamha bhārī hai in sadiyoñ par

    jo ābād nagar qismat likh Dālīñ vīrāne meñ

    jaane kitna jiwan pichhe chhuT gaya anjaane mein

    ab to kuchh qatre hain baqi sanson ke paimane mein

    apni pyas liye honTon par lauT aae maiKHane mein

    kitne tishna-lab baiThe the pahle hi maiKHane mein

    kya kya rup liye rishton ne kaise kaise rang bhare

    ab to farq nahin kuchh lagta apne aur begane mein

    jazbon ki mismar imarat yaadon ke be-jaan khanDar

    jaane kyun baiThe hain tanha hum aise virane mein

    is basti mein aa kar hum ne kuchh aisa dastur suna

    aql ki baaten karne wale honge pagal-KHane mein

    itna jaan liya to yaro kaisi bandish unwan ki

    apna apna rang bharega har koi afsane mein

    takmil-o-taKHliq ka lamha bhaari hai in sadiyon par

    jo aabaad nagar ki qismat likh Dalin virane mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now