jaane kitnon ke liye rashk ka mehwar Thahra
jaane kitnoñ ke liye rashk kā mehvar Thahrā
terā zaḳhmī bhī to qismat kā sikandar Thahrā
lazzat dard kī baḌhtī hī chalī aatī hai
tarab-añgez bahut ek hī nishtar Thahrā
bhar ga.iiñ zehn meñ ra.anā.iyāñ ik jalve se
ho kahīñ jaise koī pariyoñ kā lashkar Thahrā
kyā shikast us ko bhalā gardish-e-daurāñ degī
ḳhaak kā Dher hī jis ke liye bistar Thahrā
merī mehmān-navāzī kā thā charchā aisā
jo bhī tūfān-e-balā aayā mire ghar Thahrā
ḳhasta-hālī se jo baunā nazar aatā thā tumheñ
vaqt jab aayā to phir kitnā qad-āvar Thahrā
nazr-e-jāñ rāh-e-mohabbat meñ bahut āsāñ hai
shart mere liye kuchh mushkil-o-bartar Thahrā
gar umañD aa.e to ġharqāb na ho shahr tamām
ye jo āñkhoñ meñ hai ashkoñ kā samundar Thahrā
kaise 'az.har' kisī sūraj ko salāmī degā
kyoñ na ho apne zamāne kā qalandar Thahrā
jaane kitnon ke liye rashk ka mehwar Thahra
tera zaKHmi bhi to qismat ka sikandar Thahra
lazzat dard ki baDhti hi chali aati hai
tarab-angez bahut ek hi nishtar Thahra
bhar gain zehn mein ranaiyan ek jalwe se
ho kahin jaise koi pariyon ka lashkar Thahra
kya shikast us ko bhala gardish-e-dauran degi
KHak ka Dher hi jis ke liye bistar Thahra
meri mehman-nawazi ka tha charcha aisa
jo bhi tufan-e-bala aaya mere ghar Thahra
KHasta-haali se jo bauna nazar aata tha tumhein
waqt jab aaya to phir kitna qad-awar Thahra
nazr-e-jaan rah-e-mohabbat mein bahut aasan hai
shart mere liye kuchh mushkil-o-bartar Thahra
gar umanD aae to gharqab na ho shahr tamam
ye jo aankhon mein hai ashkon ka samundar Thahra
kaise 'azhar' kisi suraj ko salami dega
kyon na ho apne zamane ka qalandar Thahra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.