jaane kya darmiyan TuT gaya
jaane kyā darmiyān TuuT gayā
chhat to hai par makān TuuT gayā
zindagī kā gumān TuuT gayā
sar pe ik āsmān TuuT gayā
thak gayā bol kar vo āñkhoñ se
aur phir be-zabān TuuT gayā
mere haq kī thī baat so us ke
lab pe aa kar bayān TuuT gayā
baat adālat tak aa ga.ī ya.anī
aur ik ḳhāndān TuuT gayā
ishq meñ tere ye huā hāsil
vo jo thā terī jaan TuuT gayā
jaane kya darmiyan TuT gaya
chhat to hai par makan TuT gaya
zindagi ka guman TuT gaya
sar pe ek aasman TuT gaya
thak gaya bol kar wo aankhon se
aur phir be-zaban TuT gaya
mere haq ki thi baat so us ke
lab pe aa kar bayan TuT gaya
baat adalat tak aa gai yani
aur ek KHandan TuT gaya
ishq mein tere ye hua hasil
wo jo tha teri jaan TuT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.