jaane kya jadu ilahi qabza-e-qatil mein hai
jaane kya jadu ilahi qabza-e-qatil mein hai
Begum Sultana Zakir Ada
MORE BYBegum Sultana Zakir Ada
jaane kyā jaadū ilāhī qabza-e-qātil meñ hai
tiir us ke haath meñ hai zaḳhm mere dil meñ hai
jis nigāh-e-nāz se taḌpā diyā thā aap ne
aaj tak mahfūz vo manzar hamāre dil meñ hai
chārāgar pūchhā hai to sun le Thikāna dard kā
aañkh meñ siine meñ pahlū meñ jigar meñ dil meñ hai
zindagī kā kuchh bharosa hī nahīñ hai ai 'adā'
ek miTtī lahar goyā dāman-e-sāhil meñ hai
jaane kya jadu ilahi qabza-e-qatil mein hai
tir us ke hath mein hai zaKHm mere dil mein hai
jis nigah-e-naz se taDpa diya tha aap ne
aaj tak mahfuz wo manzar hamare dil mein hai
chaaragar puchha hai to sun le Thikana dard ka
aankh mein sine mein pahlu mein jigar mein dil mein hai
zindagi ka kuchh bharosa hi nahin hai ai 'ada'
ek miTti lahar goya daman-e-sahil mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.