jaane kya jurm tha jis ki ye saza di gai hai
jaane kyā jurm thā jis kī ye sazā dī ga.ī hai
mujh ko is daur meñ jiine kī du'ā dī ga.ī hai
jurm ye hai ki uThāyā thā baġhāvat kā 'alam
mere jalte hue ḳheme ko havā dī ga.ī hai
ret par qadmoñ kī aahaT se bhī Dar jaatā huuñ
aaj is dasht meñ vahshat bhī baḌhā dī ga.ī hai
tum ko ik shahr-e-ḳhamoshāñ kī taraf jaanā hai
ḳhvāb meñ mujh ko yahī ek sadā dī ga.ī hai
nīm-shab mujh meñ taḌaptī hai koī nahr-e-furāt
mujh meñ vīrāne kī kuchh ḳhaak milā dī ga.ī hai
bach ke maqtal se jise jaanā hai jā saktā hai
sham’-e-ḳhema bhī sar-e-shām bujhā dī ga.ī hai
'āsif'-e-ḳhasta kī hijrat kā havāla de kar
'āsif'-e-ḳhasta kī mīrās luTā dī ga.ī hai
jaane kya jurm tha jis ki ye saza di gai hai
mujh ko is daur mein jine ki du'a di gai hai
jurm ye hai ki uThaya tha baghawat ka 'alam
mere jalte hue KHeme ko hawa di gai hai
ret par qadmon ki aahaT se bhi Dar jata hun
aaj is dasht mein wahshat bhi baDha di gai hai
tum ko ek shahr-e-KHamoshan ki taraf jaana hai
KHwab mein mujh ko yahi ek sada di gai hai
nim-shab mujh mein taDapti hai koi nahr-e-furaat
mujh mein virane ki kuchh KHak mila di gai hai
bach ke maqtal se jise jaana hai ja sakta hai
sham’-e-KHema bhi sar-e-sham bujha di gai hai
'asif'-e-KHasta ki hijrat ka hawala de kar
'asif'-e-KHasta ki miras luTa di gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.