jaane kya kuchh soch liya nadani mein
jaane kyā kuchh soch liyā nādānī meñ
aur phir 'arsa biit gayā hairānī meñ
chhūne bhar se ruuh chamakne lagtī thī
shāyad nuur basā thā us peshānī meñ
hosh aur ḳhvāb ne apnī apnī koshish kī
banda TuuT gayā is khīñchā-tānī meñ
ik laḌkī kā jism chaḌhā thā Dolī par
ik laḌke kā jism girā thā paanī meñ
mujh meñ aur ziyāda andar mat aao
ek aaseb kā ghar hai is vīrānī meñ
chāhe sab kuchh dekhe phir bhī jaate vaqt
Tiis bachī rah jaatī hai sailānī meñ
jaane kya kuchh soch liya nadani mein
aur phir 'arsa bit gaya hairani mein
chhune bhar se ruh chamakne lagti thi
shayad nur basa tha us peshani mein
hosh aur KHwab ne apni apni koshish ki
banda TuT gaya is khincha-tani mein
ek laDki ka jism chaDha tha Doli par
ek laDke ka jism gira tha pani mein
mujh mein aur ziyaada andar mat aao
ek aaseb ka ghar hai is virani mein
chahe sab kuchh dekhe phir bhi jate waqt
Tis bachi rah jati hai sailani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.