jaane kya kya sochta rahta hai ye pagal man sajan
jaane kyā kyā sochtā rahtā hai ye pāgal man sājan
ḳhud ko aksar tujh meñ dekhe tū merā darpan sājan
tere mere jaisā honā sab ke bas kī baat nahīñ
sach kahte haiñ jo kahte haiñ prem hai pāgalpan sājan
tujh ko shahroñ meñ khoyā thā lekin ab ummīd nahīñ
terī tamanna dil meñ le kar phirtā huuñ ban ban sājan
duniyāñ bhar kī piiḌā le kar duur kahīñ ham chal dete
kaash ke tere jaisā hotā apnā bhī dāman sājan
itnī mamtā itnī karunā itnī sham.a aur itnā prem
tum kitne dhanvān ho dekho ham kitne nirdhan sājan
laakh dukhoñ ke parbat TuuTe phir bhī kitnā shītal hai
kaash ki tere man sā nirmal hotā merā man sājan
daulat shohrat tum ko mubārak mujh ko merā harjā.ī
baag bāġhīche saare tumhāre merā brindavan sājan
un ko bhalā ham kyā sikhlā.eñ dukh aur sukh kī paribhāshā
jin nainoñ meñ aa jaatā hai be-mausam sāvan sājan
tū mere dīpak kī baatī o mere jīvan sāthī
tū hī buḌhāpā tū hī javānī tū merā bachpan sājan
kal tak dil meñ thī ye tamanna log kaheñ 'vāsif' 'vāsif'
lekin ab to man kartā hai kahte raheñ sājan sājan
jaane kya kya sochta rahta hai ye pagal man sajan
KHud ko aksar tujh mein dekhe tu mera darpan sajan
tere mere jaisa hona sab ke bas ki baat nahin
sach kahte hain jo kahte hain prem hai pagalpan sajan
tujh ko shahron mein khoya tha lekin ab ummid nahin
teri tamanna dil mein le kar phirta hun ban ban sajan
duniyan bhar ki piDa le kar dur kahin hum chal dete
kash ke tere jaisa hota apna bhi daman sajan
itni mamta itni karuna itni shama aur itna prem
tum kitne dhanwan ho dekho hum kitne nirdhan sajan
lakh dukhon ke parbat TuTe phir bhi kitna shital hai
kash ki tere man sa nirmal hota mera man sajan
daulat shohrat tum ko mubarak mujh ko mera harjai
bag baghiche sare tumhaare mera brindawan sajan
un ko bhala hum kya sikhlaen dukh aur sukh ki paribhasha
jin nainon mein aa jata hai be-mausam sawan sajan
tu mere dipak ki baati o mere jiwan sathi
tu hi buDhapa tu hi jawani tu mera bachpan sajan
kal tak dil mein thi ye tamanna log kahen 'wasif' 'wasif'
lekin ab to man karta hai kahte rahen sajan sajan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.