jaane kya tazir lagi hai
jaane kyā ta.azīr lagī hai
hoñToñ par zanjīr lagī hai
mahkī hai dīvār ki is par
sājan kī tasvīr lagī hai
har pal hañsne vaalī laḌkī
aaj mujhe dil-gīr lagī hai
āñkhoñ meñ us ke partav haiñ
dil meñ jo tasvīr lagī hai
paḌhne vaalo tum ye batāo
kaisī ye tahrīr lagī hai
jaane kya tazir lagi hai
honTon par zanjir lagi hai
mahki hai diwar ki is par
sajan ki taswir lagi hai
har pal hansne wali laDki
aaj mujhe dil-gir lagi hai
aankhon mein us ke partaw hain
dil mein jo taswir lagi hai
paDhne walo tum ye batao
kaisi ye tahrir lagi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.