jaane kya wajh-e-beganagi hai
jaane kyā vaj.h-e-begānagī hai
shahr meñ jo bhī hai ajnabī hai
aag sī mere dil meñ lagī hai
phir bhī kitnī ḳhunuk chāñdnī hai
rāt-bhar sham.a tanhā jalī hai
tab kahīñ raat jā kar kaTī hai
un ko kho kar bhī maiñ jī rahā huuñ
ye kisī aur kī zindagī hai
zahr-e-ġham kaam kar bhī chukā hai
muskurāhaT laboñ par vahī hai
taab ke jaam raushan rakhoge
raat bhī ab to Dhalne lagī hai
aaj to tum bhī so jaao 'ishqī'
aaj to dard meñ bhī kamī hai
jaane kya wajh-e-beganagi hai
shahr mein jo bhi hai ajnabi hai
aag si mere dil mein lagi hai
phir bhi kitni KHunuk chandni hai
raat-bhar shama tanha jali hai
tab kahin raat ja kar kaTi hai
un ko kho kar bhi main ji raha hun
ye kisi aur ki zindagi hai
zahr-e-gham kaam kar bhi chuka hai
muskurahaT labon par wahi hai
tab ke jam raushan rakhoge
raat bhi ab to Dhalne lagi hai
aaj to tum bhi so jao 'ishqi'
aaj to dard mein bhi kami hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.