jaane kyon ab ye guman hone laga hai mujhko
jaane kyoñ ab ye gumāñ hone lagā hai mujh ko
jaise muddat se koī DhūñD rahā hai mujh ko
bol kis moḌ pe huuñ kashmakash-e-marg-o-hayāt
aise aalam meñ kahāñ chhoḌ diyā hai mujh ko
ḳhāna-zādān-e-ḳhirad kuchh to kareñ rāhbarī
ye junūñ jaane kidhar le ke gayā hai mujh ko
aisā lagtā hai ki ab to na bharegā tā-umr
zaḳhm jo ḳhvāb-e-shikasta ne diyā hai mujh ko
merī taqdīr meñ tahrīr hai tanha-safarī
ḳhud se shikva na koī tum se gila hai mujh ko
āshiyāñ shāḳh-e-havādis pe banāyā thā 'shamīm'
baad ik umr ye ma.alūm huā hai mujh ko
jaane kyon ab ye guman hone laga hai mujh ko
jaise muddat se koi DhunD raha hai mujh ko
bol kis moD pe hun kashmakash-e-marg-o-hayat
aise aalam mein kahan chhoD diya hai mujh ko
KHana-zadan-e-KHirad kuchh to karen rahbari
ye junun jaane kidhar le ke gaya hai mujh ko
aisa lagta hai ki ab to na bharega ta-umr
zaKHm jo KHwab-e-shikasta ne diya hai mujh ko
meri taqdir mein tahrir hai tanha-safari
KHud se shikwa na koi tum se gila hai mujh ko
aashiyan shaKH-e-hawadis pe banaya tha 'shamim'
baad ek umr ye malum hua hai mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.