jaane kyon aisa lagta hai
jaane kyoñ aisā lagtā hai
dil Duubā Duubā lagtā hai
saḌkoñ saḌkoñ bhiiḌ hai lekin
har koī tanhā lagtā hai
pahlā safar yaad aa jaatā hai
jab bhī koī kāñTā lagtā hai
apnī biitī umr kā hissa
niiñd kā ik jhoñkā lagtā hai
jīvan kā sammān nahīñ hai
qabroñ par mela lagtā hai
aisā daur hai 'tābāñ' jis meñ
sūraj bhī kaalā lagtā hai
jaane kyon aisa lagta hai
dil Duba Duba lagta hai
saDkon saDkon bhiD hai lekin
har koi tanha lagta hai
pahla safar yaad aa jata hai
jab bhi koi kanTa lagta hai
apni biti umr ka hissa
nind ka ek jhonka lagta hai
jiwan ka samman nahin hai
qabron par mela lagta hai
aisa daur hai 'taban' jis mein
suraj bhi kala lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.