jaane kyun barbaad hona chahta hai
jaane kyuuñ barbād honā chāhtā hai
sūrat-e-farhād honā chāhtā hai
zehn se āḳhir maiñ ab thak haar kar
merā dil ābād honā chāhtā hai
āsmāñ vaale ye sun kar hañs paḌe
aadmī āzād honā chāhtā hai
har jagah ta.amīr kar ke ik iram
har koī shaddād honā chāhtā hai
sāneha ye hai ki ik bulbul kā dil
dāman-e-sayyād honā chāhtā hai
ho ke munsif taḳht pe ab jalva-gar
vāqif-e-rūdād honā chāhtā hai
jaane kyun barbaad hona chahta hai
surat-e-farhad hona chahta hai
zehn se aaKHir main ab thak haar kar
mera dil aabaad hona chahta hai
aasman wale ye sun kar hans paDe
aadmi aazad hona chahta hai
har jagah tamir kar ke ek iram
har koi shaddad hona chahta hai
saneha ye hai ki ek bulbul ka dil
daman-e-sayyaad hona chahta hai
ho ke munsif taKHt pe ab jalwa-gar
waqif-e-rudad hona chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.