jaane kyun hai zehn ghaalib ki main soya hua hun
jaane kyuuñ hai zehn ġhālib ki maiñ soyā huā huuñ
ā.ina-ḳhāna-e-aflāk meñ khoyā huā huuñ
huuñ musallas yā koī dā.era tajrīdī sā
zehn-e-yazdāñ meñ maiñ tamsīl sā goyā huā huuñ
naddiyāñ bhar ga.iiñ labrez haiñ dariyā saare
hai ye barsāt kī jal-thal ki maiñ royā huā huuñ
jāntā huuñ ki ye hasrat hī mirī manzil hai
shauq kī tishna zamīnoñ meñ jo boyā huā huuñ
dard kā kyā hai mire chhed mujhe pyāre haiñ
maiñ tamannāoñ ke kāñToñ meñ piroyā huā huuñ
chīrtī hai jo sadā maut se sannāTe ko
kyā ye tū hai yā maiñ apne hī se goyā huā huuñ
mere chehre kī daraḳhshānī se māyūs na ho
sirf itnā hai ki ashkoñ se maiñ dhoyā huā huuñ
gasht-e-aflāk kī hājat mujhe kyuuñ kar hogī
maiñ ḳhud apne hī ḳhalāoñ meñ samoyā huā huuñ
'āsim' ab ke jo maiñ Dūbūñ to kuchh aise niklūñ
jaise lafzoñ ke samundar meñ bhigoyā huā huuñ
jaane kyun hai zehn ghaalib ki main soya hua hun
aaina-KHana-e-aflak mein khoya hua hun
hun musallas ya koi daera tajridi sa
zehn-e-yazdan mein main tamsil sa goya hua hun
naddiyan bhar gain labrez hain dariya sare
hai ye barsat ki jal-thal ki main roya hua hun
jaanta hun ki ye hasrat hi meri manzil hai
shauq ki tishna zaminon mein jo boya hua hun
dard ka kya hai mere chhed mujhe pyare hain
main tamannaon ke kanTon mein piroya hua hun
chirti hai jo sada maut se sannaTe ko
kya ye tu hai ya main apne hi se goya hua hun
mere chehre ki daraKHshani se mayus na ho
sirf itna hai ki ashkon se main dhoya hua hun
gasht-e-aflak ki hajat mujhe kyun kar hogi
main KHud apne hi KHalaon mein samoya hua hun
'asim' ab ke jo main Dubun to kuchh aise niklun
jaise lafzon ke samundar mein bhigoya hua hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.