jaane phir uske dil mein kya baat aa gai thi
jaane phir us ke dil meñ kyā baat aa ga.ī thī
mujh ko gale lagā kar vo ḳhud bhī ro paḌī thī
ham donoñ darmiyāñ se us raat haT chuke the
donoñ ke darmiyāñ bas ik paak raushnī thī
jazbāt ke samundar bechain ho rahe the
jab chāñd thā adhūrā jab raat sāñvlī thī
ik baat kahte kahte lab ḳhushk ho chale the
āñkhoñ se ek naddī chup-chāp bah chalī thī
āñkhoñ meñ ek chehra kuchh aise ghul rahā thā
kājal pighal pighal kar tasvīr ban ga.ī thī
sūraj nahīñ ugā thā par raat Dhal chukī thī
doshīzgī kā lamha ghūñghaT meñ vo kalī thī
jaane phir us ke dil mein kya baat aa gai thi
mujh ko gale laga kar wo KHud bhi ro paDi thi
hum donon darmiyan se us raat haT chuke the
donon ke darmiyan bas ek pak raushni thi
jazbaat ke samundar bechain ho rahe the
jab chand tha adhura jab raat sanwli thi
ek baat kahte kahte lab KHushk ho chale the
aankhon se ek naddi chup-chap bah chali thi
aankhon mein ek chehra kuchh aise ghul raha tha
kajal pighal pighal kar taswir ban gai thi
suraj nahin uga tha par raat Dhal chuki thi
doshizgi ka lamha ghunghaT mein wo kali thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.