jaane shab-e-firaq mein kya yaad aa gaya
jaane shab-e-firāq meñ kyā yaad aa gayā
dil yuuñ taḌap uThā ki ḳhudā yaad aa gayā
bād-e-sabā kī chheḌ se sharmā.e phuul jab
chehre kā us ke rang-e-hayā yaad aa gayā
aa.ī shab-e-firāq jo mahkī huī sabā
us vaqt qurb-e-zulf-e-dutā yaad aa gayā
ik bevafā se tark-e-ta.alluq na kar sake
har baar ham ko ahd-e-vafā yaad aa gayā
kyoñ ashk marne vāloñ kī āñkhoñ meñ aa ga.e
kyā lutf-e-zīst vaqt-e-qazā yaad aa gayā
chheḌā hai jab kisī ne kisī bevafā kā zikr
ham ko kisī kā ahd-e-vafā yaad aa gayā
dasht-e-junūñ meñ pairoñ se ḳhuuñ ristā dekh kar
hāthoñ kā us ke rang-e-hinā yaad aa gayā
jab bhī chaman meñ phuul khilā.e bahār ne
us kaj-adā kā husn-e-qabā yaad aa gayā
anjām-e-ishq ne jo satāyā kabhī 'zafar'
āġhāz-e-ishq kā bhī maza yaad aa gayā
jaane shab-e-firaq mein kya yaad aa gaya
dil yun taDap uTha ki KHuda yaad aa gaya
baad-e-saba ki chheD se sharmae phul jab
chehre ka us ke rang-e-haya yaad aa gaya
aai shab-e-firaq jo mahki hui saba
us waqt qurb-e-zulf-e-duta yaad aa gaya
ek bewafa se tark-e-talluq na kar sake
har bar hum ko ahd-e-wafa yaad aa gaya
kyon ashk marne walon ki aankhon mein aa gae
kya lutf-e-zist waqt-e-qaza yaad aa gaya
chheDa hai jab kisi ne kisi bewafa ka zikr
hum ko kisi ka ahd-e-wafa yaad aa gaya
dasht-e-junun mein pairon se KHun rista dekh kar
hathon ka us ke rang-e-hina yaad aa gaya
jab bhi chaman mein phul khilae bahaar ne
us kaj-ada ka husn-e-qaba yaad aa gaya
anjam-e-ishq ne jo sataya kabhi 'zafar'
aaghaz-e-ishq ka bhi maza yaad aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.