jaane suli pe hum chaDhae gae
jaane suulī pe ham chaḌhā.e ga.e
yā tamāshā.ī āzmā.e ga.e
ye bhī tauhīn-e-rang-o-bū hī to hai
phuul bāzār le ke aa.e ga.e
be-sabab zor Daalā āñkhoñ par
be-zarūrat gale biThā.e ga.e
tab jo dāḳhil huā vo ham to na the
ghar meñ dobāra jab bulā.e ga.e
maiñ batātā huuñ apne saare gunāh
tum se kab sab ke sab ginā.e ga.e
bhar ga.ī rahguzār phūloñ se
peḌ jab zor se hilā.e ga.e
jaane suli pe hum chaDhae gae
ya tamashai aazmae gae
ye bhi tauhin-e-rang-o-bu hi to hai
phul bazar le ke aae gae
be-sabab zor Dala aankhon par
be-zarurat gale biThae gae
tab jo daKHil hua wo hum to na the
ghar mein dobara jab bulae gae
main batata hun apne sare gunah
tum se kab sab ke sab ginae gae
bhar gai rahguzar phulon se
peD jab zor se hilae gae
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 39)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.