jaane us shaKHs ko ye kaisa hunar aata hai
jaane us shaḳhs ko ye kaisā hunar aatā hai
raat hotī hai to āñkhoñ meñ utar aatā hai
us kī chāhat kā to andāz judā hai sab se
vo to ḳhushbū kī tarah ruuh meñ dar aatā hai
baat kartā hai to alfāz mahak uThte haiñ
jis tarah shāḳh-e-mohabbat pe samar aatā hai
phuul us ke lab-o-ruḳhsār pe mar miTte haiñ
pyaar shabnam ko ba-andāz-e-digar aatā hai
aisā titlī sā vo nāzuk hai ki chhū lene se
rang us kā mire hāthoñ pe utar aatā hai
tum to kāñToñ hī se ghabrā ke palaT jaate ho
ishq to aag ke dariyā se guzar aatā hai
fāsla saat samundar se ziyāda hai 'salīm'
dil to milne ke tasavvur se hī bhar aatā hai
jaane us shaKHs ko ye kaisa hunar aata hai
raat hoti hai to aankhon mein utar aata hai
us ki chahat ka to andaz juda hai sab se
wo to KHushbu ki tarah ruh mein dar aata hai
baat karta hai to alfaz mahak uThte hain
jis tarah shaKH-e-mohabbat pe samar aata hai
phul us ke lab-o-ruKHsar pe mar miTte hain
pyar shabnam ko ba-andaz-e-digar aata hai
aisa titli sa wo nazuk hai ki chhu lene se
rang us ka mere hathon pe utar aata hai
tum to kanTon hi se ghabra ke palaT jate ho
ishq to aag ke dariya se guzar aata hai
fasla sat samundar se ziyaada hai 'salim'
dil to milne ke tasawwur se hi bhar aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.