jaane wala jo kabhi lauT ke aaya hoga
jaane vaalā jo kabhī lauT ke aayā hogā
ham ne ik umr kā ġham kaise chhupāyā hogā
kis tavaqqo.a pe koī chāhe vafāoñ kā sila
us ne kuchh soch samajh kar hī bhulāyā hogā
jis se vābasta rahā husn-e-taġhāful terā
tujh ko vo shaḳhs kabhī yaad to aayā hogā
zindagī apnī bahar-hāl guzar jā.egī
tū na hogā tirī dīvār kā saaya hogā
jaane wala jo kabhi lauT ke aaya hoga
hum ne ek umr ka gham kaise chhupaya hoga
kis tawaqqoa pe koi chahe wafaon ka sila
us ne kuchh soch samajh kar hi bhulaya hoga
jis se wabasta raha husn-e-taghaful tera
tujh ko wo shaKHs kabhi yaad to aaya hoga
zindagi apni bahar-haal guzar jaegi
tu na hoga teri diwar ka saya hoga
- Book : Abyaat (Pg. 57)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.