jaane wala mujh pe ehsan kar gaya
jaane vaalā mujh pe ehsāñ kar gayā
merī āñkhoñ meñ samundar bhar gayā
us se bichhḌe ik zamāna ho gayā
aise lagtā hai abhī uTh kar gayā
kaise bhūlūñ vo qayāmat kī ghaḌī
jab judā.ī se mirā dil Dar gayā
zindagī ke saare manzar bujh ga.e
jab mirī nazroñ se vo manzar gayā
dil ke baare meñ na ham se pūchhiye
kyā batā.eñ us meñ kyā kyā mar gayā
bhuul jaa.e dil unheñ mumkin nahīñ
lazzateñ jo pyaar kī de kar gayā
maiñ to 'nusrat' sabr par majbūr huuñ
vaqt mere dil pe patthar dhar gayā
jaane wala mujh pe ehsan kar gaya
meri aankhon mein samundar bhar gaya
us se bichhDe ek zamana ho gaya
aise lagta hai abhi uTh kar gaya
kaise bhulun wo qayamat ki ghaDi
jab judai se mera dil Dar gaya
zindagi ke sare manzar bujh gae
jab meri nazron se wo manzar gaya
dil ke bare mein na hum se puchhiye
kya bataen us mein kya kya mar gaya
bhul jae dil unhen mumkin nahin
lazzaten jo pyar ki de kar gaya
main to 'nusrat' sabr par majbur hun
waqt mere dil pe patthar dhar gaya
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 105)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.