jaane wale phir na lauTe kuchh to is mein raaz hai
jaane vaale phir na lauTe kuchh to is meñ raaz hai
kyā tilism-e-ḳhāk meñ bhī jāñ-fazā andāz hai
ye to hai mā'lūm dil meñ aa.e haiñ tīr-e-nazar
ye nahīñ mā'lūm lekin kaun tīr-andāz hai
koī samjhe yā na samjhe ham samajhte haiñ ise
maut meñ sar-basta saarā zindagī kā raaz hai
ibtidā-e-'ishq meñ duniyā se ham kho.e ga.e
us kā kyā anjām hogā jis kā ye āġhāz hai
kitnī dilkash haiñ sadā.eñ shīsha-e-dil kī tire
aaj tak mānūs kānoñ ko vahī āvāz hai
har taraf jalva nazar aatā hai un ke husn kā
ye hamārā dil hai yā un kā harīm-e-nāz hai
kaun dil kī dāstāñ mujh ko sunātā hai 'zabīh'
zarra zarra dasht kā jo gosha-e-parvāz hai
jaane wale phir na lauTe kuchh to is mein raaz hai
kya tilism-e-KHak mein bhi jaan-faza andaz hai
ye to hai ma'lum dil mein aae hain tir-e-nazar
ye nahin ma'lum lekin kaun tir-andaz hai
koi samjhe ya na samjhe hum samajhte hain ise
maut mein sar-basta sara zindagi ka raaz hai
ibtida-e-'ishq mein duniya se hum khoe gae
us ka kya anjam hoga jis ka ye aaghaz hai
kitni dilkash hain sadaen shisha-e-dil ki tere
aaj tak manus kanon ko wahi aawaz hai
har taraf jalwa nazar aata hai un ke husn ka
ye hamara dil hai ya un ka harim-e-naz hai
kaun dil ki dastan mujh ko sunata hai 'zabih'
zarra zarra dasht ka jo gosha-e-parwaz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.