jaani hui galiyon mein basar kar nahin pae
jaanī huī galiyoñ meñ basar kar nahīñ paa.e
lekin kabhī pardes meñ ghar kar nahīñ paa.e
har miil ke patthar pe lagā.e the nishānāt
sunte haiñ ki takmīl-e-safar kar nahīñ paa.e
ik tum ho jo ḳhāmoshī se bechain kiye ho
ik ham haiñ jo bātoñ se asar kar nahīñ paa.e
shahr-e-ġham-e-hastī meñ havā tez bahut thī
kitne hī charāġh apnī sahar kar nahīñ paa.e
kuchh un kī nigāhoñ se hayā jhāñk rahī thī
kuchh ham ġhalat andāz nazar kar nahīñ paa.e
ai rasm-e-mohabbat tirī tāzīm kī ham ne
koshish to bahut kī thī magar kar nahīñ paa.e
jaani hui galiyon mein basar kar nahin pae
lekin kabhi pardes mein ghar kar nahin pae
har mil ke patthar pe lagae the nishanat
sunte hain ki takmil-e-safar kar nahin pae
ek tum ho jo KHamoshi se bechain kiye ho
ek hum hain jo baaton se asar kar nahin pae
shahr-e-gham-e-hasti mein hawa tez bahut thi
kitne hi charagh apni sahar kar nahin pae
kuchh un ki nigahon se haya jhank rahi thi
kuchh hum ghalat andaz nazar kar nahin pae
ai rasm-e-mohabbat teri tazim ki hum ne
koshish to bahut ki thi magar kar nahin pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.