jaanta hai kaun ab iman ka matlab hai kya
jāntā hai kaun ab īmān kā matlab hai kyā
kyā hai giitā meñ likhā qur.ān kā matlab hai kyā
haq ko pahchāne rah-e-haq par ho insāñ gāmzan
ye nahīñ to aur phir bhagvān kā matlab hai kyā
māl-o-zar 'ilm-o-hunar sab haiñ usī kī baḳhshisheñ
baḳhshishoñ par is qadar abhimān kā matlab hai kyā
utne phailāo ki chādar se nikal jaa.eñ na paañv
daur-e-hāzir meñ adhik santān kā matlab hai kyā
'umr bhar maiñ ne ḳhatā.eñ kī haiñ lekin is se kyā
tū to hai rahmān aur rahmān kā matlab hai kyā
jism ke sukh ke liye sab chain dil kā kho diyā
is taraqqī se bhalā insān kā matlab hai kyā
dekh kar hālāt-e-duniyā sochtā rahtā huuñ maiñ
buġhz aur nafrat ke is tūfān kā matlab hai kyā
paḌhne vaale ko lage har she'r apnī zindagī
varna ai 'gulshan' tire dīvān kā matlab hai kyā
jaanta hai kaun ab iman ka matlab hai kya
kya hai gita mein likha quran ka matlab hai kya
haq ko pahchane rah-e-haq par ho insan gamzan
ye nahin to aur phir bhagwan ka matlab hai kya
mal-o-zar 'ilm-o-hunar sab hain usi ki baKHshishen
baKHshishon par is qadar abhiman ka matlab hai kya
utne phailao ki chadar se nikal jaen na panw
daur-e-hazir mein adhik santan ka matlab hai kya
'umr bhar main ne KHataen ki hain lekin is se kya
tu to hai rahman aur rahman ka matlab hai kya
jism ke sukh ke liye sab chain dil ka kho diya
is taraqqi se bhala insan ka matlab hai kya
dekh kar haalat-e-duniya sochta rahta hun main
bughz aur nafrat ke is tufan ka matlab hai kya
paDhne wale ko lage har she'r apni zindagi
warna ai 'gulshan' tere diwan ka matlab hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.