jaanta hun ab yunhi barbaad rakkhega mujhe
jāntā huuñ ab yūñhī barbād rakkhegā mujhe
vo bhī lekin is bahāne yaad rakkhegā mujhe
ḳhud mirī vāraftagī ne duur use mujh se kiyā
ye ḳhayāl ab umr bhar nāshād rakkhegā mujhe
haal se mere rahegā be-ḳhabar bhī ab vahī
jo ki mhv-e-vahshat o uftād rakkhegā mujhe
mehrbāñ jab ho to kartā hai asīrī kā savāl
vo ḳhafā hai jab talak āzād rakkhegā mujhe
ḳhud se bhī pahle rakhā thā mujh ko jis ne kal talak
lag rahā hai ab vo sab ke ba.ad rakkhegā mujhe
jaanta hun ab yunhi barbaad rakkhega mujhe
wo bhi lekin is bahane yaad rakkhega mujhe
KHud meri waraftagi ne dur use mujh se kiya
ye KHayal ab umr bhar nashad rakkhega mujhe
haal se mere rahega be-KHabar bhi ab wahi
jo ki mhw-e-wahshat o uftad rakkhega mujhe
mehrban jab ho to karta hai asiri ka sawal
wo KHafa hai jab talak aazad rakkhega mujhe
KHud se bhi pahle rakha tha mujh ko jis ne kal talak
lag raha hai ab wo sab ke baad rakkhega mujhe
- Book : Tabani (Pg. 134)
- Author : Mubeen Mirza
- Publication : Academy Bazyaft (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.