jaanta hun ki sukun qismat-e-insan mein nahin
jāntā huuñ ki sukūñ qismat-e-insāñ meñ nahīñ
maiñ tumheñ apnā banā luuñ mire imkāñ meñ nahīñ
fikr-e-gulchīñ ġham-e-sayyād aur andesha-e-barq
jo sukūñ mujh ko qafas meñ hai gulistāñ meñ nahīñ
maiñ vo barbād-e-azal huuñ ki nasheman to kyā
merī taqdīr ke tinke bhī gulistāñ meñ nahīñ
kyoñ khaTaktī hai zamāne ko kisī kī laġhzish
daaġh laale meñ nahīñ yā mah-e-tābāñ meñ nahīñ
jis kī ta.amīr meñ ehsās-e-shikast-e-gul ho
merī vahshat kā ilaaj aise gulistāñ meñ nahīñ
sajde kartā huuñ ba-andāz-e-junūñ ro rau kar
hasb-e-ma.amūl ibādat mire īmāñ meñ nahīñ
kaj-ravī maslahat-e-husn hai varna 'bismil'
un meñ jo baat hai vo baat har insāñ meñ nahīñ
jaanta hun ki sukun qismat-e-insan mein nahin
main tumhein apna bana lun mere imkan mein nahin
fikr-e-gulchin gham-e-sayyaad aur andesha-e-barq
jo sukun mujh ko qafas mein hai gulistan mein nahin
main wo barbaad-e-azal hun ki nasheman to kya
meri taqdir ke tinke bhi gulistan mein nahin
kyon khaTakti hai zamane ko kisi ki laghzish
dagh lale mein nahin ya mah-e-taban mein nahin
jis ki tamir mein ehsas-e-shikast-e-gul ho
meri wahshat ka ilaj aise gulistan mein nahin
sajde karta hun ba-andaz-e-junun ro rau kar
hasb-e-mamul ibaadat mere iman mein nahin
kaj-rawi maslahat-e-husn hai warna 'bismil'
un mein jo baat hai wo baat har insan mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.