jaanta hun main tere kitne parastaron ko
jāntā huuñ maiñ tire kitne parastāroñ ko
zindagī chhū na sake jo tire ruḳhsāroñ ko
jin fasīloñ pe bahut dil ko bharosā thā unheñ
girte dekhā to pukārā thā bahut yāroñ ko
raushnī barq kiran phuul ġhazal chingārī
itnā āsān nahīñ bhūlnā dil-dāroñ ko
ham ko ḳhush-fahmī-e-ehsās ne zinda rakkhā
'umr-bhar phuul samajhte rahe angāroñ ko
ab vo patthar hai bulandī se zamīñ par gir kar
chashm-e-hairat se takā kartā hai kohsāroñ ko
koī tūfān na rakh deñ ye fasīl-o-dar meñ
dekhte rahnā zarā mulk ke me’māroñ ko
ham musāfir haiñ tire ghar meñ magar ai duniyā
jāvedāñ kar diyā ham ne tire nazzāroñ ko
vo chale jaa.eñ jo patthar kā jigar rakhte haiñ
hāl-e-dil ham na sunā pā.eñge dīvāroñ ko
sādgī dekh ke terī mujhe Dar lagtā hai
chhū na le tū kahīñ jalte hue angāroñ ko
shaam aatī hai to ḳhāmosh samundar ke qarīb
ḳhushbueñ DhūñDhtī phirtī haiñ ḳharīdāroñ ko
ḳhūb-sūrat hai na.ī qadroñ kā naqsha lekin
ghar na gir jaa.e sañbhāle raho dīvāroñ ko
'arsh tak pahle bas itnī hī rasā.ī thī 'bashīr'
chhū liyā karte the ham chāñd ke ruḳhsāroñ ko
jaanta hun main tere kitne parastaron ko
zindagi chhu na sake jo tere ruKHsaron ko
jin fasilon pe bahut dil ko bharosa tha unhen
girte dekha to pukara tha bahut yaron ko
raushni barq kiran phul ghazal chingari
itna aasan nahin bhulna dil-daron ko
hum ko KHush-fahmi-e-ehsas ne zinda rakkha
'umr-bhar phul samajhte rahe angaron ko
ab wo patthar hai bulandi se zamin par gir kar
chashm-e-hairat se taka karta hai kohsaron ko
koi tufan na rakh den ye fasil-o-dar mein
dekhte rahna zara mulk ke me’maron ko
hum musafir hain tere ghar mein magar ai duniya
jawedan kar diya hum ne tere nazzaron ko
wo chale jaen jo patthar ka jigar rakhte hain
haal-e-dil hum na suna paenge diwaron ko
sadgi dekh ke teri mujhe Dar lagta hai
chhu na le tu kahin jalte hue angaron ko
sham aati hai to KHamosh samundar ke qarib
KHushbuen DhunDhti phirti hain KHaridaron ko
KHub-surat hai nai qadron ka naqsha lekin
ghar na gir jae sanbhaale raho diwaron ko
'arsh tak pahle bas itni hi rasai thi 'bashir'
chhu liya karte the hum chand ke ruKHsaron ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.