jaanta hun uski sirat ko sifat ko
jāntā huuñ us kī sīrat ko sifat ko
bin paḌhe hī phaaḌ Dālegā vo ḳhat ko
us ke ochhe-pan se tum vāqif nahīñ ho
vo sahīh āḳhir banā degā ġhalat ko
qad mirā kitnā baḌā maiñ jāntā huuñ
jānte ho ḳham tumhārī shaḳhsiyat ko
jaate jaate de gayā beTā dilāsa
le gayā hai zindagī bhar kī bachat ko
chāTu-kārī chhā ga.ī hai daftaroñ meñ
chāplūsī khā ga.ī har ahliyat ko
rakh sako mahfūz to phir rakh ke dekho
qahqahoñ ke biich jiine kī jugat ko
jaanta hun us ki sirat ko sifat ko
bin paDhe hi phaD Dalega wo KHat ko
us ke ochhe-pan se tum waqif nahin ho
wo sahih aaKHir bana dega ghalat ko
qad mera kitna baDa main jaanta hun
jaante ho KHam tumhaari shaKHsiyat ko
jate jate de gaya beTa dilasa
le gaya hai zindagi bhar ki bachat ko
chaTu-kari chha gai hai daftaron mein
chaplusi kha gai har ahliyat ko
rakh sako mahfuz to phir rakh ke dekho
qahqahon ke bich jine ki jugat ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.