jaante hi nahin KHushi kya hai
jānte hī nahīñ ḳhushī kyā hai
ġham ke māroñ kī zindagī kyā hai
faisla kar diyā zamāne ne
dostī kyā hai dushmanī kyā hai
mā-sivā ik hasīn ġhaflat ke
baaġh meñ phuul kī hañsī kyā hai
ek ke ġham ko dūsrā samjhe
aur manshā-e-dostī kyā hai
jānte haiñ tumhāre dīvāne
azmat-e-chāk-dāmanī kyā hai
zulf-o-ruḳhsār sāġhar-o-mīnā
jaane ye sher-o-shā.erī kyā hai
inkisār-o-ḳhulūs-o-hamdardī
aur me.arāj-e-zindagī kyā hai
chaudhvīñ shab ke chāñd meñ 'anvar'
aks un kā hai chāñdnī kyā hai
jaante hi nahin KHushi kya hai
gham ke maron ki zindagi kya hai
faisla kar diya zamane ne
dosti kya hai dushmani kya hai
ma-siwa ek hasin ghaflat ke
bagh mein phul ki hansi kya hai
ek ke gham ko dusra samjhe
aur mansha-e-dosti kya hai
jaante hain tumhaare diwane
azmat-e-chaak-damani kya hai
zulf-o-ruKHsar saghar-o-mina
jaane ye sher-o-shaeri kya hai
inkisar-o-KHulus-o-hamdardi
aur mearaj-e-zindagi kya hai
chaudhwin shab ke chand mein 'anwar'
aks un ka hai chandni kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.