jaante ho nahin chalna to yun chalte kyun ho
jānte ho nahīñ chalnā to yuuñ chalte kyuuñ ho
aaj bhī ġhāfil-e-manzil ho nikalte kyuuñ ho
vo dilāse hī chhalāve hī faqat dete haiñ
un kī har baat se har baar bahakte kyuuñ ho
jab sambhālā hai javānī meñ yuuñ ḳhud ko tanhā
aap aa kar ke buḌhāpe meñ phisalte kyuuñ ho
koī fankār agar shohrat-o-izzat paa.e
martaba milne pe is naam se jalte kyuuñ haiñ
tum sitāroñ meñ kabhī tāroñ meñ kho.e rahte
vahshateñ dil meñ liye ghar se nikalte kyuuñ ho
kaam jo hone haiñ ho kar hī raheñge sāhab
ho ke hairān pareshān nikalte kyuuñ ho
'ishq aafat hai balā hai ye qayāmat bhī hai
'ishq kī aag ke dariyā meñ utarte kyuuñ ho
jaante ho nahin chalna to yun chalte kyun ho
aaj bhi ghafil-e-manzil ho nikalte kyun ho
wo dilase hi chhalawe hi faqat dete hain
un ki har baat se har bar bahakte kyun ho
jab sambhaala hai jawani mein yun KHud ko tanha
aap aa kar ke buDhape mein phisalte kyun ho
koi fankar agar shohrat-o-izzat pae
martaba milne pe is nam se jalte kyun hain
tum sitaron mein kabhi taron mein khoe rahte
wahshaten dil mein liye ghar se nikalte kyun ho
kaam jo hone hain ho kar hi rahenge sahab
ho ke hairan pareshan nikalte kyun ho
'ishq aafat hai bala hai ye qayamat bhi hai
'ishq ki aag ke dariya mein utarte kyun ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.